Is kitab ke author Shahid Husain Meesam ne Allah ke aakhri paighambar Hazrat Muhammad (s) ke halaat e zindagi ( jeevan parichay), Sunnaten ( Taur tareeqe) aur Hadeesen (kathan) bahot hi asaan Hindi zaban me likha hai . Jitne facts is kitab me bayan kiye gaye hain unka reference footnotes me diya hai. Is kitab me bahot se aise sawalon ke jawab mil jayen ge jo aam taur se logon ke dimagh me aa sakte hain. Jo bhi ilzamaat Hazrat Muhammad (s) par lagaye ja rahe hain is kitab ko parhne ke baad samajh me aa jaye ga ki saare ilzamaat be buniyaad hain. Is kitab ko zaroor parhiye aur apne janne walon ko gift kijiye.